Jul 31, 2012

Bheed!

Bheed!
yeh bheed aaj kitni pehchani si lagti hai,
chehre ki shikan badi roomani si lagti hai.
kya ye mere sheher ki tasveeren hain?
muskata hun to kabhi chubhte teer hain.

yeh bheed jaane kab bant gayi? 
jaane kab bichad gaye tum hathon se...
kab bhool gaye tum un iraadon ko? 
sang sab ke sapnon ko pane ko...

kyun armaanon ko rondte ho?
sach bahar anne se kyun rokte ho...!
kaho kya ho tum zimmedar sahi? 
aur kya tum is bheed ke bhaag nahi?

yeh bheed badh rahi hai par;
dikh gaii hai humko ek dagar!
yeh safar bahut hai kathin magar, 
na udaas ho mere humsafar...

Do you feel the goosebumps? Well, that's the power of togetherness.


2 comments:

Sanchi said...

super bhaiya!!
n d video is amazing!!!
what is the source of this video??

udit joshi said...

Thanks Daisy!

The video of the Bengali song? Well, the song in Hindi is also sung by Shivaji Chatterjee. He has a Bengali version to the song as well which I thought of adding to the post.